Daag Achche Hai
Janm leti hi katl huya kyunki ladke hi vaaris sachche hai,
Ek maasoom k khoon se range hai haath par daag to achche hai,
Vaishyavritti mein dhakeli gaye, kaanoon kewal kaagzi parche hai,
Laga uski chunri pe daag par daag to achche hai,
Jeevan dene ki shamta use mili, uspe bhagwaan k aashirwaad jo sachche hai,
Mahawari mein mandir wo na jaye par daag to achche hai,
Suhaagraat ki agli subah agar chaadar pe daag na ho, to uske charitra k hote charche hai,
Chaadar pe daag zaroori hai kyunki daag to achche hai,
Shaadi-shuda jode ko jab nahi hote bachche hai,
Baanj hone ka lanchan wo sahe kyunki daag to achche hai,
Pehle diya teen talaaq par kyunki irade kachche hai,
Halala ki zalalat biwi sahe par daag to achche hai,
Ameeron ki jeebein bhari hui, bhookhe gareeb k bachche hai,
Desh pe gareebi k daag sahi par daag to achche hai,
Ek ladki k balaatkaar pe netaji bole, galti hoti hai ye ladke bachche hai,
Jeevan uska barbaad hua par daag achche to hai,
Sainik ki chhaati chhalni hai, kitni maa-yein khoti bachche hai,
Badle mein bas ninda hoti hai kyunki jawaab dene mein hote kharche hai,
Shahadat pe uski daag hai ye par daag to achche hai,
Ghotale pe ghotala karke neta janta ko shoshit karte hai,
Agar jeb mein paise aate ho to aise daag bhi achche hai,
Gunehgaaro k khilaaf saboot k liye kewal hoti search-ein hai,
Kaanoon pe andhepan ka daag lage par daag to achche hai,
Mehnat nahi hum karna chahte, aarakshan se bachte kharche hai,
Chahein pichdepan ka daag lage par daag to achche hai,
Jise sone ki chidiya kehte the, hum us desh k bachche hai,
Ye daag humein hi dhone hai kyunki daag nahi ye achche hai.
By
Naman Tandon
6-C, BBA LLB